Yaad Karo apne Hyderabad ko........7 samundar par se
yaad karo woh din aur raat.........
Woh Allahamdullilah ki biryani, woh Diamond ki chai,
Woh Radhey Shyaam ki pani puri, woh chit chat ki chaat,
Woh Softy ki ice cream, Wah usme thi kuch baat.
Woh Pulla Reddy ki mithai, woh Kamat ka dosa,
Woh Gokul ki pav bhaji aur Ramser ka samosa.
Woh local bus ka 'suffer', woh Tank Bund ki hawa,
Woh dutch roses ke kante aur Lumbini Park ka samaa.
Woh december ki zara si sardi, woh baarishon ke mahiney,
Woh garmi ki chuttiyan, jab chute te thea paseeney.
Woh Ramzan ki Haleem,woh paradise ki biryani,
Woh holi ki masti,aur navratri ka dandia.
Woh necklace road ka mohol, woh Gandipet ki leheren,
Woh doobte suraj ka nazara, Waah uske kya kehene.
Woh Karachi Bakery ke biscut, woh Blue Sea ki chai,
Woh Garden(restaurant) ke lukmi biscuit, woh galliyon ka "rabdi malai".
Woh bachpan ki yaaden, woh gotion kaa khel,
Woh Indira Park ki jhaadiyan, jahaa hothey they mel.
Woh Minerva ka pop corn aur Shoppers Stop mein shopping,
Woh James Street ka nazara aur Ameer pet ki building.
Woh Sangeet cinema ke queue, woh black ki pink ticket,
Woh Parade ka maidan, jahan bachche practice karte hain cricket.
Itni cheezen kehene ke baad, aur kitna karoon mein abaad,
Yeh shehar hain mera apna, jiska naam hai H Y D E R A B A A D!!!!!!!!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment